Sunday, January 09, 2005

The Trio - Aloo ke Paranthe, Achaar Aur Chai

Chutti ke din ki subah aur nashte mein Aloo ke paranthe ho to kya baat hain. Bas issi ek chotte sapne ko sakar karne ka maan kiya aur RaviVaar ka din chunna. ShaniVaar ki raat thoda jaldi hi neend aa gayee thi, isliye subah jab sooraj ne poori shakti aur apne pratap se duniya ko jagmanna chaha, usse pehle hi meri nindra khul gayee. Kaaran, pichli raat thoda jaldi so gaya tha. To socha ki itni subah uth kar kya karoon. Phir dyaan aaya ki kamre ki safai kar leni chaiye. Ek aur kaam yaad aaya. Thoda karyaalay ka bhi kaam tha isliye pehle woh khatam kiya. Usko khatam karte karte hi subah ke das baj gaye. Aur laga ki kuch der mein bahut tej bhook lagne lagegi, isliye apne kadam maine rasoi ki taraf badhaaye.

Kuch bartan gande padhe hue they, to sarv-pratham unko chamkaya. Uske baad aloo ko ubaalane rakh diya. Jab tak aaloo hue, utne samay mein aate ko ghoondha. Chunki yeh pehli baar kar raha tha isliye, pichli raat mein maine poori jankari apni behen se le li thi. Isliye koi pareshaani nahin hui. Lekin, kaafi mehnat ka kaam hain aata ghoondhna aur ek accha abhyaas. Itni der mein aaloo bhi ho gaye aur usme namak, mirchi, hara dhaniyaa ityaadi daal kar ek mishran bana liya.

Ab baari thi ek aur ghor parishram kaarya ki. Aur woh to paranthe ko belna, ghol aakar mein. Paranto yeh kaam itna mehnat waala nahin tha aur prabho ki kripa se sab parantho ka aakar, keh sakta hoon ki, ghol tha. Aam ke achaar ke saath to paranthe bahut swadisht lag rahe they. Itni der mein mere ek saathi ne chai tyaar kar li. Bas phir kya tha, garam garam paranthe acchaar aur chai. Wah!!

1 Comments:

Anonymous Anonymous said...

wah wah kya baat hai! Aaloo da parantha...ummm...wah...ab agli baar aisa karna ki dosa aur sambhar try karna.
Lag jaayegi kasam se kaha raha hun.

- penzer the great.

3:42 AM  

Post a Comment

<< Home